Sunday, April 15, 2012

tumhain bhooleingay

Na tum ko dil pay laylaingay
na ansoo say sajayengay ,
bus ek hadisa thay tum ,
yahee sochaingay, bhoolaingay......

... tujhay pholoon mai dhondayngay
na sawan mai talashaingay,
na toofani ghataoon ki
hawaoon mai pukaraingay ,

tera woh ghar jo main nay dil kay
aangan mai banaya tha ,
woh ghar jo muskurahat say
baharoon say sajaya tha ,

akaylee see ,veraan see is imarat
ko mita daingay ,
yeh paani mai baha deingay
hawa ko saump dalaingay ,

Na tum ko dil pay laylaingay
na ansoo say sajayengay ,
bus ek hadisa thay tum ,
yahee sochaingay, bhoolaingay........

No comments:

Post a Comment