Wednesday, December 8, 2010

TUM SAY .... a new poem ... complete now ..

subhah subhah shaam ki batein karein
aaaj hum anjaam ki baatein karein
ishq e bebaak phir hai mehvay shouq aaj
aaj us badnaam ki baatein karain

kis kay hoonton par hai tera naam sun
phir kissi kay naam ki baatein karain ,
sehmi sehmi si wohi hai teri yaad
meray lab e bebaaq ki baatein karain ...

merey lab pay tera naam aya hi kyu
sab gul o gulzar ki baatein karain ,
kehnay ko asaan hai us ka intizar,
aaj wasl e yaar ki baatein karain....

kehtay kehtay jo kahi na thi kabhi ,
unkahi deewaar ki baatein karain
us raastay pay mai nahi na tum hi thay,
rah e khush raftaaar ki baatein karain .....

woh hai magar nahi hai kaisa raaz hai ,
is raaz ki hamraaz say baatein karain ,
aye ho par aye nahi ho kya kahain ,
tum say dil e beemar ki baatein karain ?.....

gahey gahey aa kay sehla lo kabhi
tum aur hum us yaar ki baatein karain ,
keh hi daitay hum say ki kya mafhoom tha,
kyu terey dildaar ki baaatein karain ....

laila o sheerin kay karnamay thay to thay
kyu aj yeh bekaar ki baatein karain ,
tera zehan mayil e taj e khamoash ho,
kya shah jahan kay pyaar ki baatien karain ?

ao jamal e yaar ki baatein karain
yaar e khush deedar ki baatein karain
reza reza kar dein phir moosa a.s ka toor
Ishq kay izhaar ki baatein karain ....

TUM SAY .... a new poem ...

subhah subhah shaam ki batein karein
aaaj hum anjaam ki baatein karein
ishq e bebaak phir hai mehvay shouq aaj
aaj us badnaam ki baatein karain

kis kay hoonton par hai tera naam sun
phir kissi kay naam ki baatein karain ,
sehmi sehmi si wohi hai teri yaad
meray lab e bebaaq ki baatein karain ...

merey lab pay tera naam aya hi kyu
sab gul o gulzar ki baatein karain ,
kehnay ko asaan hai us ka intizar,
aaj wasl e yaar ki baatein karain....

kehtay kehtay jo kahi na thi kabhi ,
unkahi deewaar ki baatein karain
us raastay pay mai nahi na tum hi thay,
rah e khush raftaaar ki baatein karain .....

woh hai magar nahi hai kaisa raaz hai ,
is raaz ki hamraaz say baatein karain ,
aye ho par aye nahi ho kya kahain ,
tum say dil e beemar ki baatein karain ?.....