Wednesday, August 29, 2012

tum aana bus tum ...

mujhay kya lena duniya sey
meri mayyat pay tum aana
bus tum
zara si mitti apnay haathon may
lay kar meri qabr
pur noor banana
tum aana bus tum ..
mujhay kya lena duniya sey ,
us lamhay merey paas baith kar
meri aakhri saans may apna naam
sun kay ,  ansoo roak lena ,
aur muskurana
tum aana bus tum ....