Wednesday, June 8, 2011

kuch khayal tumharay baray mai ....

zindagi hoash mai behoshi hai
jaisey ik shor mai khamoashi hai
kis kis ki nigah laut ayee hai sharma kay
kis kis ki sadaa mai chupi sargoshi hai .....

teri har baat baazgasht ki tarah
vaadi e zehn ki mehmaan bani ,
kyu meri saoch kay maikhanay mai
dheemi barsaat bhi toofan bani....

tum na hotay to kya nahi hota
ankhein purnam na dil khafa hota
dhoond lena tumhain safar hota
manzilain kaun poochta hota .....

humsafar ho na meharbaan ho tum
ik adhoori si dastaan ho tum
butqaday mai nahi hai ab koyee
kis ki takhleeq ka nishaan ho tum .....