mehak phoolon ki terey gaisu ko di hai
siahi raat ki ankhoon nay li hai
kissi ki shaam nay khoye hai rangat
terey rukhsar say woh ja mili hai
meri baatein nahi teri chabi hai
zubaan may aj kya deewangi hai
guloon nay si liyey hain chaak e daman
bahar e gumshuda phir aa gayee hai
koi keh do usay ab aa bhi jaye
woh rut jo kab kahan ab jaa chuki hai
sehar ko bhi gam e hijraan ki rangat
nahi meri nahi teri hi di hai ....
mohabbat mujh sey tujh tak aaa to jaye
magar rahey wafaa seedhi nahi hai
zara sa soach lo phir chal padengay
qadam yeh zindagi ka aakhri hai.............
No comments:
Post a Comment