Is rooh ko jala gaya atish qada e ishq
duniya meri bana gaya aatish qada e ishq
tu nay to diya hukm e kufur zahidoon ko bhi
woh rind to basa gaya aatish qada e ishq ....
dil zaar zaar ho gaya teri talash mai
mujh sey mujhay mila gaya aatish qada e ishq
kwaboon ki raat mai bhi kabhi aa sakay na tum ,
kya kya fareb dha gaya aatish qada e ishq ....
baad e sabah na aye merey dar pay phir kabhi
ghar mera ghar bana gaya aatish qada e ishq ,
baarish ki boondh bhi giri chingari ki tarah
sawan ko bhi jala gaya aatish qada e ishq,
Nice very nice Gazala ji
ReplyDeleteYoun Doobne Ka humko Koi Shouq tau na tha
Gehrey Samandron main Pyaas le gayi