Thursday, January 13, 2011

aatish qada e ishq

Is rooh ko jala gaya atish qada e ishq
duniya meri bana gaya aatish qada e ishq
tu nay to diya hukm e kufur zahidoon ko bhi
woh rind to basa gaya aatish qada e ishq ....

dil zaar zaar ho gaya teri talash mai
mujh sey mujhay mila gaya aatish qada e ishq
kwaboon ki raat mai bhi kabhi aa sakay na tum ,
kya kya fareb dha gaya aatish qada e ishq ....

baad e sabah na aye merey dar pay phir kabhi
ghar mera ghar bana gaya aatish qada e ishq ,
baarish ki boondh bhi giri chingari ki tarah
sawan ko bhi jala gaya aatish qada e ishq,

Saturday, January 1, 2011

kuch khayal ...

mehak gul ki terey gaisu ko di hai
siahi raat ki ankhoon nay li hai
kissi ki shaam nay khoye hai rangat
terey rukhsar say woh ja mili hai

meri baatein nahi teri chabi hai
zubaan may aj kya deewangi hai
guloon nay si liyey hain chaak e daman
bahar e gumshuda phir aa gayee hai

koi keh do usay ab aa bhi jaye
woh rut jo kab kahan ab jaa chuki hai
sehar ko bhi gam e hijraan ki rangat
nahi meri nahi teri hi di hai ....

mohabbat tujh sey mujh tak aaa to jaye
magar rah e wafaa seedhi nahi hai
zara sa soach lo phir chal padengay
qadam yeh zindagi ka aakhri hai.............