Wednesday, December 8, 2010

TUM SAY .... a new poem ...

subhah subhah shaam ki batein karein
aaaj hum anjaam ki baatein karein
ishq e bebaak phir hai mehvay shouq aaj
aaj us badnaam ki baatein karain

kis kay hoonton par hai tera naam sun
phir kissi kay naam ki baatein karain ,
sehmi sehmi si wohi hai teri yaad
meray lab e bebaaq ki baatein karain ...

merey lab pay tera naam aya hi kyu
sab gul o gulzar ki baatein karain ,
kehnay ko asaan hai us ka intizar,
aaj wasl e yaar ki baatein karain....

kehtay kehtay jo kahi na thi kabhi ,
unkahi deewaar ki baatein karain
us raastay pay mai nahi na tum hi thay,
rah e khush raftaaar ki baatein karain .....

woh hai magar nahi hai kaisa raaz hai ,
is raaz ki hamraaz say baatein karain ,
aye ho par aye nahi ho kya kahain ,
tum say dil e beemar ki baatein karain ?.....

No comments:

Post a Comment